Monday, December 31

ki sab bhool gaye

ham to apke pyar me aise khoye
ki sab bhool gaye
tere jasbaton me aise khoye
ki sab bhool gaye
us ghadi jo hath tumne
mera pakda tha
jab aya wo pal yad
to sab bhool gaye
tumne joothahi sahi
ek pal ke lia pyar dikhaya to
har ke is dil ko ham
to sab bhool gaye
kaha tumne ek bar tume choo lo main
tumne tika di chhre pe ankh
sab bhool gaye...

कुछ नहीं बचा मेरे पास...

kaise machin sa jiwan ha ye?
subah uthna office jana,
kam karna fir sham dhale ghar ana,
din kab hota ha ,kab raat
kaise janu me yeh baat
kyuki din ka chamkila bhaag
ban gaya ek gahrata raaj
mene kab din dekha tha
muzko ab nai ye yaad,
sham dhale jab ghar ati hoo
bacho ko khana khilati hoo
fir padna, pariksha jo ha paas,
chinta magan fir bistar ke paas,
rakhti hoo ek pani ka gilas
uthna ha subah muze fir ajj
kya karna ha kam kaj
ye kharcha or wo bhi kharcha
kiska dena kiska lena
bas is jiwan me yahi ha do kam
na moj masti na aaram
ek pyar ke do bol ko tarsti
doondati rehti hoo ek sath
ke koi apna sa to hota
jo mere sath bojha ye dhota
isliye meri lekhni bhi bech di mene
kuch nahi bacha ab mere paas

Friday, December 21

bharat me naari aj bhi surakhshit nahi.....

bharat me naari aj bhi surakhshit nahi.....
aj bhi sadko par kayi bhookhi najren ha use dekhti
uski hasi ko abhi bhi, katil kha jata ha]
aj bhi uska dard kahin na suna jata ha
aj bhi kahkahoo me, uske ansoo gum ha
bhart ki narri swatanter nahi partenter ha
usko age badne se rokte ha log samaj ke
uske pero ke chaloo me ab bhi wohi chubhan ha
fark sirf itna ha, ki pehle wo ghar me kaid thi
aj samaj ke ghatia day- re me band ha


bharat me naari aj bhi surakhshit nahi.....