Thursday, January 24

मेरा मुआक्म आया नहीं

me chahton ki rah chalti gayi,magar mera mukam aya nahin,
me har mod par raste badlti rahi, par mera mukam aya nahin,

mere dil ke daro diwar par,roj nayin tasveer badlti rahi
par ek bhi tasveer me rang pyar ka aya nahin.

har mod par dost mile,hamdam mile,pyar bant_ti rahi,
par ek bhi hamnavan mere dil ko choo paya nahin.

me chaton ki rah chalti gayi, magar mera mukam aya nahin,
me har mod par raste badlti rahi par mera mukam aya nahin.

ek bar nahin bar bar laga, ki lo is bar to pyar sacha mila
par fareb ke jungle me, pyar sacha kabhi mil paya nahin.

mere apne kehne ko bahut ha, sekdo- hajaro ki ginti main,
par ab tak mere har pahloo ko kisi ne apnaya nahin.

me chahton ki rah chalti gayi,magar mera mukam aya nahin,
me har mod par raste badlti rahi, par mera mukam aya nahin

kya tum aise mohabbat karte ho?

मैं लम्हा लम्हा गिनती हू
हर गली कूचे मे दूंद्ती हू
तुम कहीं, किसी मोड़ पर आओगे
ऐसी हर पल आशा करती हू,
तुम हर पल मुझ पर हस्ते हो,
और मैं याद तुम्हे कर रोती हू,

मैं ऐसे मोहब्बत करती हू,
क्या तुम ऐसे मोहब्बत करते हो?

तुम रोज यादों मे आते हो
फीर आ कर कहीं न जाते हो,
इनकितनी मिन्नत करती हू
सोने से भी मैं डरती हू
क्यूकी तुम सपनों मे आते हो
फीर ए कर और तड़पते हो,
तुमारा दीदार होता नहीं
पर ख्यालों से दूर न हो पाते हो

me aise mohabbat karti hoo,
kya tum aisemohabbt karte ho?

me baten tumse karti hoo
bekhayli me rehti hoo
log pagal sa kehte ha muze
kabhi kuch bhi keh jati hoo
kabhi mand mand muskati ho
kabhi ansoo khud hi bahati hoo
main tanha tanha rehti hoo
bhid kabhi hologo ki to
bhid se door ho jati hoo
me tanha har pal rehti hoo

main aisi mohabbt karti hoo,
kya tum aise mohabbat karte ho?
main jab bhi bat karne ko,
sahas apna jutati hoo
sochti hoo ab keh doongi
par has kar hi rah jati hoo
tumari awaj sun_ne ki khushi me
gam apna bhool jati hoo
jo ankho aknho me raten kat_ti ha
me unko na keh pati hoo
main janti hoo ye pyar nahi
pagalpan sa chaya ha muz par
main aise rahen chalti ho,
jinki manjil ka koi pata nahi

main aisi ohabbat karti hoo,
kya tum aisii mohabbat karte ho?

Tuesday, January 22

wo samjha karen ...

wo samjha karen ki ham bhool gaye unko,
magar ham to unhe har pal yad kia karte ha.

wo samjha karen kiunke kadmo ki ahat ham bhool gaye
ham to har mod par, kadam unke sath gina karte ha.

wo samjha karen ki wo pyar nahin, ek khel tha
ham to unke saath har pal yadon me khela karte ha.

wo samha karen, ki or bhi ha haseen chehre duniya me,
ham to unke chehre ka noor, ankhon me basa ke bethe ha

wo samjha karen ki koi hak nahi hamara un par,
ham to unke hak me jindagi luta ke bethe ha.

wo samjha karen ki chod gaye meri galiyan kooche,
ham to unko,apni yadon ke gharondo me saja ke bethe ha

wo samjha karen ki ab kabhi milna na hoga kabhi
ham to anteem sans tak milan ki umeed laga ke bethe ha..


--------------------

Friday, January 11

मैं जल्मगन मीन सी

main ab tak ateet ki galyion me khoyi hui hoo,
us jalmagan meen si, jal me soyi hui hoon,
jiske lia ye khara pani hi jiwan ha,
uske lia to maut bhoomi ka swapan ha
isliye me bhi hoo ek meen jalmagan
ateet ki smritiyon ki mala me band
tumare lia ye pani khara maut sa ha
mere lia to yahi khara jal hi mera apna ha...

Monday, December 31

ki sab bhool gaye

ham to apke pyar me aise khoye
ki sab bhool gaye
tere jasbaton me aise khoye
ki sab bhool gaye
us ghadi jo hath tumne
mera pakda tha
jab aya wo pal yad
to sab bhool gaye
tumne joothahi sahi
ek pal ke lia pyar dikhaya to
har ke is dil ko ham
to sab bhool gaye
kaha tumne ek bar tume choo lo main
tumne tika di chhre pe ankh
sab bhool gaye...

कुछ नहीं बचा मेरे पास...

kaise machin sa jiwan ha ye?
subah uthna office jana,
kam karna fir sham dhale ghar ana,
din kab hota ha ,kab raat
kaise janu me yeh baat
kyuki din ka chamkila bhaag
ban gaya ek gahrata raaj
mene kab din dekha tha
muzko ab nai ye yaad,
sham dhale jab ghar ati hoo
bacho ko khana khilati hoo
fir padna, pariksha jo ha paas,
chinta magan fir bistar ke paas,
rakhti hoo ek pani ka gilas
uthna ha subah muze fir ajj
kya karna ha kam kaj
ye kharcha or wo bhi kharcha
kiska dena kiska lena
bas is jiwan me yahi ha do kam
na moj masti na aaram
ek pyar ke do bol ko tarsti
doondati rehti hoo ek sath
ke koi apna sa to hota
jo mere sath bojha ye dhota
isliye meri lekhni bhi bech di mene
kuch nahi bacha ab mere paas

Friday, December 21

bharat me naari aj bhi surakhshit nahi.....

bharat me naari aj bhi surakhshit nahi.....
aj bhi sadko par kayi bhookhi najren ha use dekhti
uski hasi ko abhi bhi, katil kha jata ha]
aj bhi uska dard kahin na suna jata ha
aj bhi kahkahoo me, uske ansoo gum ha
bhart ki narri swatanter nahi partenter ha
usko age badne se rokte ha log samaj ke
uske pero ke chaloo me ab bhi wohi chubhan ha
fark sirf itna ha, ki pehle wo ghar me kaid thi
aj samaj ke ghatia day- re me band ha


bharat me naari aj bhi surakhshit nahi.....