Wednesday, May 30

मेरा अतीत

ateet ke saye me kab tak?
me aviral tumko niharti..
kab tak bat johti teri?
ab to ye ateet bhi
dhool dhosrit ho utha,
me kya kahoo, kiski kami?
me kya kaho tose sakhi
meri pira ateet ki samrityo se
ab ha bar jati, muskurahat
attet ki vedna ha ban jati...

tanhaiya

tanhaiya muze mili or tumko mile sab,
me yado me khoyi rahi or tum ubhar gaye
me ateet ban gayi tumare lia,
or tum mere khwabo me mera aaj ban kar
saj gaye..
ham tumare lia sukhi kaliyo, se kitabo me saj gaye
meri khushbu ud gayi tumrii yado se
or tum mere khwabo me mera aaj ban kar
saj gaye..

मेरी लेखनी

jarorat ha lekhni ko swachandata ki
bhav ubarte ha, khule me hi
jab bhao ko likna banti ha majbori
to bhav swantar rop se parilakhsit ho pate nahi


dil ki syahi bana kar, or kalam le kar bhavo ki
me kore kagaj par bhav likhne jo lagi
to mere jiwan ke kale saye ubhar kar aa gaye
or meri lekhni chal parii...
meri lekhni jo bandhano me band kartutne lagi thi, aaj fir swachand haswatntr ha, jo jimmewari thi meriab fir se shuk ha, isliye na partantr haab fir se meri rachnatmakta ji utthi hafir se nayi angrayi lene lagi haaisa lagta ha jo soyi thi kahi, fir jaag uthi ha

Monday, May 28

fir jaag uthi ha

meri lekhni jo bandhano me band kar
tutne lagi thi, aaj fir swachand ha
swatntr ha, jo jimmewari thi meri
ab fir se shuk ha, isliye na partantr ha
ab fir se meri rachnatmakta ji utthi ha
fir se nayi angrayi lene lagi ha
aisa lagta ha jo soyi thi kahi, fir jaag uthi ha

Friday, May 25

me sona chahti hoo

meri ankhe mund rahi ha
me sona chahti hoo
pAR adhoori si hoo
isliye or chalna chahti hoo
abhi or chalna ha
nahi thakna ha
meri manjil door ha
me akash chona chahti hoo
meri ankhe mund rahi ha
me sona chati hoo

ye ajab si icha ha
jo thkne ke bad bhi
balwati ha muzme
jo khushi pa nahi saki
ab wo pana chati hoo
par tera sath chahti hoo
khuda tera hath chahti hoo
me sona chahti hoo
or door ha khitij mera abhi
us khsitij ke par jana chati hoo
meri ankhe mund rahi ha
me sona chati hoo

Wednesday, May 23

अकेली rate

tum bin rate bitate, akele toofano se joojhte
pagal se ho gaye ha, sab kehte ha hame
ab ham bato ko jo bar bar, dohrane lage ha
sab bhool jane lage ha, or yado me jine lage ha
ham paglane lage ha, bhool jane lage ha

akeli rato ki tarap hamse achi na koi jan sakta ha
har raat ka ik ik pal gin gin kar kata ha
or une yad kar, har ghari pas rehte hue bhi une door jana ha
ham tadpe ha, or rato ke kale saye or ghrane lage ha
ham paglane lage ha, bhool jane lage ha

na keh sakte ha, na ji sakte ha
kahi koi apna hota, jis ke kandhe par sar rakh
ham bhi ro dete , keh lete gam apne
magar ab ye gam ke dansh or bhi bad jane lage ha
ham paglane lage ha, bhool jane lage ha