ek raah par ek pathar tha pada hua,
dhool me lipta,kichar me sana hua,
uski kismat thi raho me thokren khane ki,
logo ke pairo ko bhi takleef pahunchane ki,
ek din ek lalchii musafir waha se gujra,
usne dho ponch ke us pathar ko dekha,
wo pathar khud me ajab si chamak liye tha,
usme khuda ke ek noor chupa hua tha,
musafir ki ankhoo me chamak si ayi us pal,
usne tarash kar use but ki de di shakal,
us musafir ne us jagah ek mandir bana dia
paise kamane ka use jariya bana liya
ek din wo pathar, sochne laga ki kyu na
main hi koshish karoo kuch karne ki
ab tak bahut se log yaha ate ha
mere age sir apna wo jhukate ha
shayd is mandir ke bahar kahin
meri koi kismat hogi, shayd meri kismat badlegi
ab tak jo aya, usne muze istemal kia
kabhi sajda kabhi, kabhi pyar kia
par wo galat tha, pagal pathar
wo sangemarmar ka tha par tha to pathar
jaise mandir se chala,wo bahar nikla
logo ne use phir koi aam, pathar samjha
use door fenk dia kahin anjane raste me
tut kar choor hua wo pathar ka tukda
fir sisak raha tha kahin kone me pada hua wo
ki achank se koi musafir fir nikla jo
bahut salo ke bad us pathar ko usne fir
hatho me utha kar ji bhar ke pyar kia
wo pathar ro pada, khushi ke ansoo
bar bar rab ka dhanywad kia
us musafir ne use ghar ki ronak bana lia
magar naseeb me uske shayd sukh nahi tha
wo jab se uske ghar me aya
musafir ne sukun na paya
musibaten uske sath- sath chali
har bar,koi na koi uski bani bat bigdi
ab wo musafir us pathar se pyar kar betha ha
tum hi batao wo rakhe, ki fek de use fir?
No comments:
Post a Comment