Monday, April 16

kuch choti kavitayen

juban keh khe kar ab to thak gayi
gala rundh gaya ro ro ke
tum hame na samje, ham kehte rahe
to kya fayda ab keh ke...

gam ki barish me doobi rehti ha dosti
tum tnaha jab chor jate ho dost
tum chale jate ho dor hamse bahut
to ro dete ha, apni bebasi pe aa dost.

log aksar bat karte ha, pyar ki
kaise pyar hota ha pata nahi
bas wo pyar jo ranjha ne kia,
kia heer ne bhi, wohi ha pyar bas wohi
par jante nahi ki ye marj ha kaisee?
chen leti ha sukun or chain bhi
pyar to bas ag ka daria ha ji....

jindagi thokro me sambhalti rahi,
har bar dhoop me tapti rahi
har bar chanv se bachti rahi
kantoo ki sej par chalti rahi..
isliye hi...
ban kundan aag se nikalti rahi

No comments: