Friday, June 27

रात का सवाल

Advanced Member
***


Posts: 4,382
Member No.: 313
Joined: January 27, 2007


Online Online





raat har raat sawal karti ha,
har ghadi kon sath chalta ha?
har andhera mera apna ha
usme chupa ek sapna ha
raat, har raat sawal karti ha
unke khwabo or khyalon me hi rehte ham to
magar har raat dard ek ajab sa utha tha
jis dard ne mera aks loot lia
jisme muze ek janwar khud me dikhta tha
har raat us janwar ki bhookh mitane ko
bar bar andhera mujhse milta tha
har bar mera tuta hua jism fir
bar bar jane kaisii mang karta tha
me rokti thi khud ko or roa karti thi har raat
par kuch na hua acha fir bhi mere sath
fir ek din raah jab mene badli
pyar ki har choti jwaan badli
muzpar baras baras si barasne lagi
meri bhookh fir jo mitne lagi
par meri atma ek aag me jalne lagi
ki main kha thi kha ko chalne lagi
me kya thi raat se pochne lagi
ab is raat ki subah nahin dikhti muze
raat har raat muzse fir sawal karne lagi

Saturday, June 14

गुनगुनाते हुए

gungunate hue yu hi ham
jindagi gujar dete
agar jindagi pyar ka geet hoti
to ham jindagi haar dete
ret par jo likha nam kabhi mit_ta nahi
to ham samandar ke kinare ke
buton me hi jindagi utar dete

Friday, June 6

वो फूल

wo phool jo murjhaye nahi ab tak
wo mehak jo smritiyon se gayi nahi ab tak
kitni bar socha yad na karenge tume jab tab
magar ek vismrit si smriti
ek dhundali si akriti
aati ha fir ankho me basne
kehti ha main tere sath hoon
tu bulaye chahe bhulaye
me bas yahin kahin aas paas hoon
mehaka rehta ha mera man angan
behka rehta ha mera ye tan man
wo phool teri smritiyon ka
wo rang teri chahat ka mere
jiwan ka sampoorn akash ha

Wednesday, June 4

जो जिन्दगी से न haare

jo jindagi se na hare
suna ha maut ne une hara dia

ek raja kehte ha kabhi karne chala tha
duniya muthi main
wo bhi muthi khali dikha kar chala gaya

jo jindagi se na hare
suna ha maut ne une hara dia

anthheen aseemit shakti ko
khshan bhar me ek visfot ne uda dia

bandhe hue jindagi ko koi nahi rakh saka
ak shant awaaj ne sab ant kara dia

mritu ek satya mitha sa ha
jiwan ke sangram ke bad jisne sabko

apni god me, sar rakh kar sula dia
ankhe jo bojhil thi nind se

mritu ne une has kar sula dia
or apna bana lia

jo jindagi se na hare
suna ha maut ne une hara dia

Sunday, June 1

kadwahat

me kadvi ho gayi hoo,
jahar si kadvi bel sii,
main meethi nadi thi kabhi
kal-kal chanchal behti,
na koi kadwahat,
bas mithas thi muzme
magar jahar ghul gaya ha is
nadi ke meethe pani main
mat prashan karo muzse yu
ki aisa hua tha kyu
kyuki prashan to anutarit mere
ha abhi bahut se
jab mene mithas mangi
to hanse kyu the meri maang par
kyu kha tha jiwan to kadvi bel ha
kyu kha tha ye char din ka khel ha
me jab tumse khushi ka raaj poochti thi
tum kyu has kar, kadwaht sehne ko the kehte
ab ye kadwahat mera hissa ha
ab me jahar si kadvi ban gayi hoo
neem si hoo maagar abhi bhi
tum sab ki kadwaht hoo jhel sakti
lo or jo bhi chaho de lo
ab me is kadwaht se nahi darti
kyuki main hoo kadvi bel siii