Sunday, June 1

kadwahat

me kadvi ho gayi hoo,
jahar si kadvi bel sii,
main meethi nadi thi kabhi
kal-kal chanchal behti,
na koi kadwahat,
bas mithas thi muzme
magar jahar ghul gaya ha is
nadi ke meethe pani main
mat prashan karo muzse yu
ki aisa hua tha kyu
kyuki prashan to anutarit mere
ha abhi bahut se
jab mene mithas mangi
to hanse kyu the meri maang par
kyu kha tha jiwan to kadvi bel ha
kyu kha tha ye char din ka khel ha
me jab tumse khushi ka raaj poochti thi
tum kyu has kar, kadwaht sehne ko the kehte
ab ye kadwahat mera hissa ha
ab me jahar si kadvi ban gayi hoo
neem si hoo maagar abhi bhi
tum sab ki kadwaht hoo jhel sakti
lo or jo bhi chaho de lo
ab me is kadwaht se nahi darti
kyuki main hoo kadvi bel siii

1 comment:

Meri Ankahi Dastaan said...

tumhari har kavita mein ek naya rang hai...padhkar bahot acha lag raha hai

tumhare vichar kuch kuch muj jaise hai..
likhtey rahiyega
padhna acha lagega