me chahton ki rah chalti gayi,magar mera mukam aya nahin,
me har mod par raste badlti rahi, par mera mukam aya nahin,
mere dil ke daro diwar par,roj nayin tasveer badlti rahi
par ek bhi tasveer me rang pyar ka aya nahin.
har mod par dost mile,hamdam mile,pyar bant_ti rahi,
par ek bhi hamnavan mere dil ko choo paya nahin.
me chaton ki rah chalti gayi, magar mera mukam aya nahin,
me har mod par raste badlti rahi par mera mukam aya nahin.
ek bar nahin bar bar laga, ki lo is bar to pyar sacha mila
par fareb ke jungle me, pyar sacha kabhi mil paya nahin.
mere apne kehne ko bahut ha, sekdo- hajaro ki ginti main,
par ab tak mere har pahloo ko kisi ne apnaya nahin.
me chahton ki rah chalti gayi,magar mera mukam aya nahin,
me har mod par raste badlti rahi, par mera mukam aya nahin
1 comment:
"ek bar nahin bar bar laga, ki lo is bar to pyar sacha mila
par fareb ke jungle me, pyar sacha kabhi mil paya nahin."
अकेलेपन के दर्द और कशमकश को बहुत ही खूबसूरती और सहजता से उभारा है आपने ...
आपकी चाहतों का सफर कामयाब हो ,यही मेरी दुआ है...
Post a Comment