Thursday, March 27

गुलाबी शाम

tere ankho main sharart ajab si kashish
jane kyu ham fir se khiche chale jate ha

wo pyar to ankhon me najar ata nahi hamre lia
par fir bhi jane kis talash me bade chale jate ha

tumne gujar ke paas se apna ahsas fir jinda kar dia
ham usi badami khushbu me nahaye chale jate ha

asman tab kis rang ka tha, neela pila ya gulabi
par ham to us gulabi sham ko ahsason me jiye jate hain

tum na mano par haan tumse ishak ho gaya ha hamen
us ishk ki diwanagi ke rang me sarobaar hue jate ha

Thursday, March 20

वास्तविकता से pare

me adambar ki duniya me aisi uljhi ki,
satya ki galiyan hi bhool gayi
me jina chahti thi ji bhar ke
parantooo satya bol ke ji nahi pati thi
fir jooth ki dagar pakad ke chal di
parantoo main adambar ki duniya main aise uljhi ki,
satya ki galiyan hi bhool gayi
kitna kathin ha jiwan ki pagdandiyo pe badna
path bhol jate hain ham chalte chalte
kash main apna path khoj pao fir se
satya ki antheen khoj smapt ho sake

Monday, March 10

main anutarit kyu ho?

jab muzse usne poocha,
ki kya tum sukhsampoorn ho?
to main anutarit kyu hoo?
jab muzse usne poocha,
to kya tum sukhrahit ho?
to main anutarit kyu ho?

sukh or dukh ke bich ki sima me
antheen andhakar ke rehte
main kisi subah ki khoj kar sakti hoo kya?
andhere ke sath rehte, ujale ki or bad sakti hoo kya?
isliye...
jab muzse usne poocha,
ki kya tum sukhsampoorn ho?
to main anutarit si hoo.

ujala to mere hath bhar ki doori par ha,
par usko pakdne ki koshish bhi kar sakti nahi
ujale ke paas rehte, me bas ro deti hoo
use dekh dekh ke, jiwan kathin kar rahi hoo apna
isliye...
jab muzse usne poocha,
ki kya tum sukhsampoorn ho?
to main anutarit si hoo

Sunday, March 9

वासना से परे का प्रेम

kehte kehte khsin ho gayi wani meri,
sehte sehte, khshin hui atma meri

meri apni maa ne kha har baar muze,
ki dar pa ja ke prabhu ke tuu fariyad kar le

kya kahoo ki har khashn me ram rat- rat ke
avichlit si awastha me usko smran kar kar ke

ab mud chali hoo, door uske hi dar se,
jab mene agosh me us jaanwar ke

har bar fariyad ki, ro ro ke
to wo rab bar bar, dene laga updesh muze sehne ke

ke kya kahoo ab kisi ubdesh ki akansha nahi
us rab ke darwaje pe koi diikhta nahi

main chal padi hoo us assemit khoj ki lalak main
jo ek baar pa chuki hoo fir pana ha....

meri ye antheen pyas, kab se ha?
jab se maine wasna se pare prem ko jana ha





--------------------


chirag jal rahe ha har taraf dil ki tarahan,
magar chirago tale andhera ha,
in ke naseeb me sawera kahan?