tere ankho main sharart ajab si kashish
jane kyu ham fir se khiche chale jate ha
wo pyar to ankhon me najar ata nahi hamre lia
par fir bhi jane kis talash me bade chale jate ha
tumne gujar ke paas se apna ahsas fir jinda kar dia
ham usi badami khushbu me nahaye chale jate ha
asman tab kis rang ka tha, neela pila ya gulabi
par ham to us gulabi sham ko ahsason me jiye jate hain
tum na mano par haan tumse ishak ho gaya ha hamen
us ishk ki diwanagi ke rang me sarobaar hue jate ha
No comments:
Post a Comment