Tuesday, April 22

पंछी, नदिया पवन के झोंके

panchi nadia, pawan ke jhoke,
ye sab berukawat aa jate ha kahin bhi,

dil ko hole se cho ke ye sata jate ha kahin bhi,
in par koi desh, majhab, kisi seema ki rok nahi

inka koi thor koi thikana bhi nahi,
ye jhonke kehte ha muzse ajadi ke khani

me jhonka ban jati kash hawa ka
kash mera bhi koi thor na thikana hota

nadi ke pani si kal, kal beh jati
pawan ke jhonke se sar sar sarati

koi daro diwar, beech na hoti kabhi
koi kanch na tut_ta na koi pathar ki diwar hoti

me insaan ho is bat ka malal ha,
warna mere man chanchal ki bhi unchi udan ha

No comments: