Sunday, September 7

वो सफर

wo safar na khatam hota kash
wo teri ankhon ki khamoshi
wo teri fiki si hasii
wo tera na jane kis soch me dooba rehna
wo tera hath mera thame rehna
wo safar na khatm hota kash

jab dhoop thi kadkti si,
paseene ki boonde,
kuch tere chehre par chalak ayi thi,
par hamare sath ki thandi pawan,
jhoka gulabo ki khusbu ka layi thi,
wo mera bolte rehna,or tera muze sunte rehna!


wo gulabo ke baag me ham bethe the,
par har taraf se jaise bekhabr se bethe the,
muze un gulabo ki mehak na ayi thi,
par tere tan ki mehak muzme samayi thi,
me to pagal si borayi thi,par ek baar jo
tum muzse rooth gaye,tab meri ankh bhar ayi thi

us safar ki yaden ab tak taza ha
mehak gulabo ki kho gayi ha kahin
wo na hamra kuch bolna kabhi
ki kahin kisi dil ko thes na pahunch jaye
wo safar jane kaisa ajab sa tha
wo safar na khatam hota kash!

No comments: