wo ro diya or keh gaya ki mar jaonga
me to ajab si uljhan me fas gayi hoo jane kyu?
jis pyar ko mang mang kar lia ha mene
wo pyar pana chahoo to pa na sakoon
khata na uski ha na meri, par ajab kahani ha
ham dono ki ab ,kashmakash me jindgani ha,
haan me to likh leti hoo gham apne
wo ro dia karta ha, bas dard bayan karne ka
saleeka hi to alag alag sa ha,ham jude nahi ek dooje se
par jane kyu rasta hamara juda sa ha.
usko kaise kahoon ki tumare ansoo ka
ek ek katra karta roj meri jindagi nark banata ha
tum ro ke keh lete ho sab magar
bad me tera rona muze rulata ha
na ro ke kasam ha tujhe meri
me to tere is pyar ke layak hi nahi
me hajar baar mar kar bhi tujhe hi mangongi
magar jane kyu is baar khuda ko ye manjoor nahi
No comments:
Post a Comment