Friday, April 13

titliyan

main bat bataongi ek aisi,
jo ha sachi mere jiwan ki,
jis tarah ye tiliyan rang apne
bikherti ha jagah jagah jagah
us tarah phoolo se khilkhilati ha ladkiyan
kaha tha ye mere kisi apne ajeej ne,
wo thi meri ma jaise ma
us wakt na main samaj payi thi us bat ko
ab dekhti hoo jab niklte college se bahar
jhoomti ithlati titliyan
or gharo me chehkti gungunati titliyan
or dekhti hoo haste khelte apni choti bitiyan
to yad ati ha wo titliyan
sach me kai rang ha inme bikhre,
jiwan se ye milati ha titliyan,
hame has kar kaise jina ha
sikhati ha titliyan...
by shaveta mrs narula

No comments: