Friday, April 27

एक WARNAN

ek warnan.. fir se

aj subah ka akhbar meri ankho ke age tha
or usme kuch likha tha, likha kya tha?
kuch logo ne asmat ek bichari ki looti
or use ja feka, andhere jangal me
kya jante ho, kyu panata ha ye gunah?
me batati ho ise ab is warnan me..

ham rok jahan lagate ha, wo cheej
vikrtit roop se,ati ha samne,
pehre bitha rakhe ha, unchi diwaro ke hamne
vikrit dimago ke samne, pehle to parose jate ha
geet bharkte hue, fir une us gali jane se roka jata ha

pehle to une sikhane ke nam pe,
dhong kia jate ha, bate khuli dikhyi jati ha chalchitro me,
fir une na karo ye sab bola jata ha,
ye kadva nanga sach ha,
jaise bhookhe ke lia roti ki jarorat ha,
usi tarah is umr me, itni rok jarori nahi ha,
kyu hamra samaj dishavihin ha,
ek taraf dharam ki bate, ek taraf ye drishye gamgeen ha


--------------------

No comments: