uski ankhe saji ha raho me,
or ane wala ha uska koi apna
sar par kafan bandh ek sher bheja tha usne
maidane jang me, ab wo ayega ki khabar uski pata nahi
wo khali se path ko niharti, ek asha fir bhi lie
ki kash is khoni sanhar me, wo bach jaye
or uski man ujrne se bach jaye
ye socha karti ha harpal wo ladki
chup chup , gumsum si raha karti ha wo larki
kha wo balpan ab , jo baul ke angan me chor ayi
ab to jiwan bhar uske sath ha tanhayi
wo bat johti ha, uski jo ane ko keh gaya tha use
abhi bhi kabhi suhag ke sapne, sanjo leti ha wo ladki
No comments:
Post a Comment