Tuesday, November 27

फीर से ये मन मुस्कुरा दीया


ek bar to ghav hota, bar bar bhi hota
magar jab jakhmo se bhar gaya jism to
ghav kaha hota, fir ghav bhi thak kar beth gaya
or me dard me tab muskura padi..
dil se or dard hone ka dar hi utar gaya
or fir jakhmo se bhari, chili hui chalo se
jali hui angaro se, chal padi fir se
lo aaj mene dard ko hara dia
mera man fir gamo ke badal me chand sa
muskura dia...

Wednesday, November 21

मेरा दर्द

मे उन लोगो की हिमत नही करती जो गुनेह्गर ह, परन्तु एक वक्त ऐसा आता ह, जब कोई गम के सागर मे डूब कर गुनाहगार बन जाता ह। ऐसी ही एक बात मैने इस कविता मे कही ह॥जब दर्द हद से गुजर जाता ह तो गुनाह होता ह...
mera dard na poocho ki itne pardo me
chupa lia ha mene? wo dard ki ab
bahar nikal kar aya ha wo gunah ha..
heran na ho, par aisa hota ha
had se gujar jaye dard to wo gunah hota ha
mera gam jab bardasht se bahr ho gaya
to mera paanv fisal kar gunah me doob gaya
jab paye har kadam pe dhokhe
to gam ek pahar ban gaya
jiska koi ant nahi tha, antheen tha sab
isliye mera paanv unchayii se fisal gaya
gunah ki ek khayi me gir gaya
jab har koi ungli uthata tha mera charitr par
me pak thi, massom thi tab
aj me masom nahi hoo
par nirdosh hoon
kyuki khushi ke bahane na
doondti apne lia
to kaise jiti dard ke samndar me?
me to jal bhi jati angaro me gam nahi tha
par do fool mere nanhe murjha jate to
mere chehre ki rangat ud jati to
koi bat nahi, par unke chehro ki rangat kaise
udne deti?

Monday, November 12

dard ki syahi se lafj ubhar ate ha

lafjo me dard ko dhalti rahi kalam meri
ansso ke khoon se nahati rahi kalam meri
par ek bar bhi syahi gam ki na ho
ruk jati ha, jane kyu kalam ye meri

dard ki intaha tum ho, mere pyar bhi tum hi ho
khoye prem se ho, lab se nikle geet bhi tum ho

dard ke samndar me gote lagate
jisne hath pakra, wo to hame or duba gaye

mera dard

mera dard meri pyas ha,
jo bujhti nahi jharne ke behte bhi
mera dard wo dost ha
jo gujar jate ha paas se uu hi
mere jiwan se mukti to sambhav hi nahi
mere dukho ka bojh to utrega nahi
par ek bat ha tumse kehni
khushi me na sahi, kabhi gam me hi sahi
hame pal bhar ko yad kar lena
palken moond kar hii
kyuki hamne jo tumare lia kia
wo ab tak kisi ke lia kia hi nahi
or na hi karenge kabhi,
phoolon se bhari ho teri kyari
kante sab door ho jayen kahin
magar jab koi kanta chuban de to,
yad kar lena, ki ek dost thi tumarii koi
jisne ye chubhan bar bar sahi,
us gadi mere lia do ansoo baha dena kabhi...............

Friday, November 9

khshitij hath se fisal jata ha.....

kisi ki jindagi me to savera aya bhi hoga
kabhi koi tara tut kar god me aya hi hoga

main kya kahoo jab sab ha magar fir bhi kami ha
paas ho kar unse bhi bahut doori si ha

meri jindagi ka savera kahin taron ki nagri me
chupa betha ha bahut door, ashaao ke kshitij me

jab chone lagti hoo kabhi,chitak kar door nikal jata ha
me chlti hoo to fir se wo khshitij hath se fisal jata ha...

chirag jal rahe ha har taraf dil ki tarahan
magar chirago tale andhera ha, in ke naseeb me savera kahan

gamo ka koi kharidar nahi


ham jante ha in gamo ka koi kharidar nahi
ye sansaar gamo ka bazar nahin
par jane kyu, mere ansoo
rukte nahi barbas nikal ate ha
mere hotho tak ate ate,
ye apni khani khud hi keh jate ha,
me rokti bahut hoon une magar
meri joothi hasi ke piche se ye
machal ate ha, khud hi nikal ate ha....

Sunday, November 4

असीमीt सूख

watslya ma ka, bandhan prem ka
wishwas mitr ka, sab apne sathi me pana chahte ho
to mushkil ha ye, mera anubhav kehta ha
kyuki poorn to is jahan me prabhu hi hota ha
or usi ke bandhan me aseemit sukh hota ha

प्रेम बोध

एक  सुन्दर  वर्णन  जो मेरी आँखों ने देखा नहीं,
महसूस करने लगी, तुम को वर्णन मै वो सुनाऊ अभी,
एक मोहक सी धुन वृन्दावन मै बजने लगी
गोपियां माधुर्य  मॆं खोयी सी नशे मॆं रमने लगी
राधा हरी मिलन हुआ , असीमित सुख की  अनुभूति होने लगी!
 वास्तव मॆं  तुम्हे  पा कर प्रेम को जाना ह मैने ,
तन और मन से ही इस सुख को पहचाना ह मैने,
ये सुख अंतहीन ह, इस सुख के आगे  सब विहीन ह,
 पर जानती  ह दुनिया  केवल बंधन मै बांधना, पर
बंधन रहित हो कर ही इस प्रेम को पाना  ह

shaveta narula

prem sukh

dard ke smandar me meera ne prabhu bahkti me
kitne hi swarnim warsh bita diye
dukh bhi hua use ye jaan kar hari to radha ke hi the parntoo
uski yad ki pida me jo sukh tha
usne use smpoorn sukh ke darshan kara diye.
mene to jane kiski talash me sara jiwan laga dia
hath bada kar asman choo kar dikha dia
par asman tak pahunchne wale ye hath
mere ghar ki char diwari ko choo hi na sake
ham khushi dondte rahe begano me
magar apno me khushi pa hi na sake,
or jane kyu mene khushiyoo se damn jala lia