Wednesday, June 4

जो जिन्दगी से न haare

jo jindagi se na hare
suna ha maut ne une hara dia

ek raja kehte ha kabhi karne chala tha
duniya muthi main
wo bhi muthi khali dikha kar chala gaya

jo jindagi se na hare
suna ha maut ne une hara dia

anthheen aseemit shakti ko
khshan bhar me ek visfot ne uda dia

bandhe hue jindagi ko koi nahi rakh saka
ak shant awaaj ne sab ant kara dia

mritu ek satya mitha sa ha
jiwan ke sangram ke bad jisne sabko

apni god me, sar rakh kar sula dia
ankhe jo bojhil thi nind se

mritu ne une has kar sula dia
or apna bana lia

jo jindagi se na hare
suna ha maut ne une hara dia

1 comment:

INDRA SINGH said...

maut se na jeeta hai koi na jeet sakega koi

chalo ek pal chura lein maut se

baith ke uski god main geet gunguna lein koi