Saturday, June 30

मेरा स्वपन एक सुन्दर घर का

मैने देखा था स्वपन एक सुन्दर घर का,
बनाते हम तुम मिल कर जो,
जैसे प्रेम नीद मै,प्रेमी दो ,
अपना जहाँ सुन्दर होता, जिसमे हम रह पाते तो,
तुम मेरे संग , मै तुम संग,
दिल की बात कह पाते तो
मै राह निहारती, तुमारी प्रेम पथ पर
तुम काम से थक कर आते तो,
मै भी थकी हरी सी, हस्ती,
तुम भी कुछ मुस्काते तो,
सारी पीरा तुम मुझ से, हम तुम से कह पाते तो,
मेरे दो नन्हे से पंछी,
इस नीड मै मुस्काते तो,
अब तो यू मुस्कान छुपी ह
जैसे बदली सुख़ की ढकी ह
बरस बरस कर आती तो
प्रेम राग सुनाती तो , ये बदली झुक जाती तो

Friday, June 29

a mitr

मित्र मै शब्दो संग खेलती हू
अपनी ही व्यथा कह जाती हू
पर फ़िर लगता ये मुझसे खेलते
कैसे सब लिख जाती हूँ
मेरे शब्द किलकारी मारते बच्चे
मेरे शब्द अन्सों से धह्कते अंगारे

मगर फीर भी लबों से खामोश सी हू
कह कर फीर हँस देती हू
जैसे कोई पीरा थी ही नही
रोज इन शब्दो से खेलती हू
रोज इनका खिलौना बनती हू

Wednesday, June 27

अज आयी ह मस्तानी सी भोर

aaj ayi ha mastani si bhor
aj ho gaye sab bhav vibhor
ugta suraj kahe kahni rat ki
rat suhani bitayi ha sang chitchor
wo chitchor jo pal bhar me hiye cho gaya
kaano me sapndan hota ha,
nayan me tere ye chanchal man khota ha
aaj beeti ha nisha ghanghor
par prem jisne rang bhaRA HA JIWAN ME
wo prem satya ha ya chlava fir koi or
aaj ayi ha mastani si bhor

दर्द की राह

me apni rah me badi, jise chaha pa na saki
fir tum sang gayi byahi, par dil tum se mila hi nahi
fir ek mor jo aya jindagi me meri, koi aya ban mera sa hi
par jane kyu shayd pyar mere nasib me tha hi nahi
us ankhe riste me khari hui diware kayi,
fir na me apne priye , na teri hi ho saki
uljhan me aaj fas gayi ha jindagi meri
aas bhi nahi, tum sang jane ki,
or na hi pii ka ghar me chor sakti
na tuze paa hi me sakti, na bhol hi ho sakti,
dard ki rah par jo me ab chal hoo padi...

Sunday, June 24

प्यार करते हो तो


pyar karte ho to kehna jarori ha
juban se ijhar jarori ha

bina ijhar ke, ye bat adhoori ha
pyar karte ho to kehna jarori ha

aaj ek pyar dekh ankh meri bhar ayi
do premiyo ki dekh pyar bhari ladayi

thori khatti mithi bate, kehna jarori ha
pyar karte ho to kehna jarori ha

jab prem ka paratidan karte ho
jab ahe uske nam ki bharte ho to

un aho ka jikar jaroti ha
pyar karte ho kehna jarori ha

Saturday, June 23

भोर हुई ह आज नवेली


bhor hui ha aaj naveli
lagti ha muzko ye saheli
andhiyare ne ankhe mundi
or jagi bhor saheli
aj naya sa jag lagta ha
dhoop me na ap tan tapta ha
sath lia shiltalta hathili
bhor hui ha aj naveli

Wednesday, June 20

जो कभी एक दूजे के लिए बने नही


मेरी आँखों मे दर्द ओर पीरा ह ,
उसकी आंखे निद्रलीन,
मे थकी हू पर नींद नही ह,
पर उसकी आँखों मे खामोशी ह ,
हर रोज सुबह, शाम का द्वंद ,
हम दौनो कुछ तीखे प्रश्नों से
खुद को बचाते ह
फीर भी कभी अगर कुछ कह जाते ह
तो कलह ही होता ह
ओर शांत हमारा जीवन, हलचल से भरता ह
पर क्या ये जीवन जो शांत लगता ह
शांत ही ह क्या?
इसमे उथल, पुथल दिखती नही
मगर इस खामोशी मे छुपा ह दर्द सा,
ना मे अपने भावो को कह पाती हू तुमसे
ना तुम मेरी वेदना समझते हो कभी
ना मुझसे कहते हो, कोई बाते अनकही,
फीर कैसा या बन्धन, dhoo रहे ह हम भी
कुछ भी तो हम_मे एक सा नही
फीर क्यों मिल गाये दो अनजान एक पथ पर ही,
जो कभी एक दूजे के लीया बने थे ही नही,

भोर

usha ki god se, ek kiran si nikli
or kehne lagi muzko yahi
har ek ka path alg ha rahi
magar sabhi khojte ha bhor hi
har raat jab hoti ha andhiyari
samjo subah ha ane wali

मेरा बचपन


mithi yade ha bachapne ki kuch sath,
bachpan ha ek sogat magar,
kyu mera bachpan bhool gaya un galiyo ko,
jab choti choti bato par ghar me,
jaghre hua karte the bade,
bacho ki batoo par aa uthte the ladne bade bade,
bahane bacho ke, or hote the, apne matlab sidhe
mera bachpan to usi wakt seham gaya
jab chacha , tau larte the,
mera bachpan un kadvi yado ko,
yad karne se bhi darta ha
jab muze har wakt, mere bhai mara karte the
jab meri har khwish ko daba dia jata tha,
jo bhi me mangoo kabhi na poora kia jata tha
mera bachpan kadi dhoop tha,
jisme panv mere jala karte the,
jab choti choti bato par ghar me,
jaghre hua karte the bade,

Tuesday, June 19

na बनाना nari कभी


mohe agle janam na bana_na nari kabhi
itna ahsan karna muzpar, prabhu abhi
me abla ban roj hoo , kitna sehti
kabhi laj ke mare mari , kabhi pyar me tadpi
kyu dil se khelta ha har koi
kyu muze tor kar fek dete ha sabhi
kyu me gudiya si tadap bhi nai pati
kyu meri marji gunah ha, kyu samaj
khilafat karta , har wakt hi,
kyu wo kehte ha, dil nikal feko abhi
kash me bhi ye kar sakti, agar me nari na hoti
abla na hoti, is tang najariye wale samaj me janmi na hoti
mohe agle janam na bana_na nari kabhi
itna ahsan karna muzpar, prabhu abhi

ए चांद


a chand tu na or sata,
pehle ja kar mera sajan le aa
har rat tarpi ho uske bina,
teri roshni se ab ji nahi bharta
ab me jaonngi piiya ke ghar
chahe ab jiwan ho jindagi se badtar
mar kar hi sahi tuzko paongi
a chand tu sun le sada
muze apni chamak na dikha
mere mehboob ki yadon ki chamak
kafi ha jine ke lia
rat ke saye me so ja
a chand tu na or sata

Monday, June 18

meri lekhni ke sathi


meri lekhni ke sathi tum ho
tum sang likhti hoo
magar me ajab si hoo
kabhi itna kabhi kuch nahi likhti hoo
ye meri lekhni bhi, bahut ajeeb si ha
kabhi is me dhar ha, kabh ye tuti si ha
ye mere jiwan ka darpan ha
ye mere jiwan ka darshan ha
or is ke pratibimb tum ho
meri lekhni ke sathi tum ho

काश के


kash ke satya ke path par chal pate ham
kash jo dil me ha keh pate ham
apne gunah ka bojh le kar nah ghomte dharti par
us bojh kar kuch keh kar halka kar pate ham
zooth or anachar sa, na hota har jagah
galtiya kar ke man pate ham, or keh pate ham
kas ke satya ke path par chal pate ham

एक स्वयंवर


ek parampara thi , suni ha purano me
swayamwar hua karte the
wo log bhi hua karte the
jo apne prem ke ia jiwan dia karte the
or fir prem ko pane ke lia jiwan ki baji laga dia karte the
ek ka waran kia karti thi, jo thi bhartiye nari
or pati parmeshawar ki ankho me
ek ardhangini ke hi khwab hua karte the
itni sachaye thi us ug me
jab sab sach kaha karte the
agar galti koi ho jaye to
dono sweekar kia karte the
mat pita bhi suna ha, santan ki marji ka
adar ia karte the, or une bharpoor pyar dia karte the
aaj najara kuch or ha, swaymwar pe rok ha
or ek ajab parampara ha, pyar ko dil me chupane ki
na kisi ko bata pane ki, or gunah banane ki
na ab wo ranjhe ha, na heer hi
ab to bas dropdi utarti ha swayam cheer hi,
or vyatha kya kahoo sakhi
prem gunah bana ha abhi
or nahi kar sakte ham, sabse ke samne sweekar bi

Sunday, June 17

बीती शाम

beeti sham unse hui mulakat
beeti sham hamne ki unse baat
chand bhi madhma tha
badlo ke agosh me chupa tha
or hawa bhi khushnuma thi
beeti sham une yad kar hamne
apne hatho ko sahlya ki hame yad aya
unka mere hatho ko hatho me lena
or fir us sham ko yad kar ke ab bhi
mahol me khoshbo si ha]
beeti sham meri apni thi,
aj unki kami si ha

Saturday, June 16

एक हसीं गुनाह


ek haseen gunah mene kia
tumse pyar mene kia
tumaree ankho me jhanka
tumara didar mene kia
tume pas se dekha
tume choo kar pyar mene kia
ek haseen gunah mene kia
tere ishk ki diwangi to na thi
ye to barso ki tadap thi meri
jo itna me pagal ho uthi
is ek pal ke lia, umar bhar
jaise intajar mene kia
ek haseen gunah mene kia
tumaree jarorat thi, mene pori ki
tumse ek ekrar mene kia
bas ek bat mangte ha
na bhool jana hame
bita kar ye lamhe hamre sath
aaj tumne bhi ye ikrar muzse kia
ek haseen gunah tumne bhi kia
muzse pyar tumne bhi kia

Thursday, June 14

unka pyam aya

aaj sham unka pyam aya
yado me aa kar ko muskaya
khalo me rehne lage ha har pal wo
unko bhol nahi pata ,ab unki yado ka hi sarmaya
una pyaam aya to dharkne badne lagi
hatho me kamkapi chutne lagi
aise siahr utha man, jaise koi fool muskaya
aaj shama jalne se pehle, unka pyam aya
aaj mene is pagle man ko thora behkaya
or sukon pya, unko paya, to jaise sab pyaaa

बरस गयी

me badal ban kar baras gayi
teri yado me priye
me pagal ban kar behak gayi
teri yado me priye
mene khud ko pagalpan me kho dia
teri yado ke lia
muze ab koi na suze, in is andhere
kanan me priye(jangal)

फीर से

hamne fir ashiyan banya ha, kahi kisi ki nazar na lage
itne salo ke dard ke bad, dil ka sukun pal bhar ko pya ha
jis tadap ke lia din rat jali shama ban, aj mene apne parwane ko pya ha
tumara sparsh , tumare bate, tumare najro ka saya ha
kar taraf tum hi tumo. diwanagi ka saya ha
aaj fir koi meri jindagi me aya ha

दोस्ती कर ली

mene bhi andiyare se aaj dosti kar li
rate khushnuma kar li
ab din chinta me nahi gujrta
or rat ansoo me nahi rehti
par kab tak ye khushi rahegi
dar sa lagta ha abhi bhi
kahi ye khiushi bhi ti pal bhar ki nahi

Monday, June 11

cho nahi saktii

wo yahi ha mere pas , par me use cho nahi sakti
wo sath hamere ahsas ke, par me cho nahi sakti
wo sapna ban ke ankh me bas gaya ha magar
us sapne ko le kar ankh mond nahi sakti
chain nahi ayega, jab tak wo na mera hoga
chain ye pane ko use cho nahi saktii

UJIYARE MAT BANDH MUZE

UJIYARE MAT BANDH MUZE
MUZE AJJ ANDHERE ME REHNE DE
KHOOBSOORAT SE LAGNE LAGE AAJ
ANDHERE MUZE KEHNE DE...
ME KALIKH PUTI HUI HO
APNE MAT PITA KE MATHE PAR
SUN CHUKI HO YE HAR BAR,
KHATA BINA KOI KIYE HUE
PAR AAJ EK KHATA KARNE DE,
MUZE AJADI PAL BHAR KO DE
US PAL BHAR ME MUZKO BHARPOR JIWAN JINE DE
UJIYARE MAT BAND MUZE
MUZE AJ ANDHERE ME REHNE DE
ME BAN MEEN TARSI HOO HAR PAL JAL BIN
SAGAR ME AAJ MUZE BEHNE DE
AAJ EK KHATA KARNE DE
UJYARE MAT BAND MUZE
MUZE AAJ ANDHERE ME REHNE DE....

Sunday, June 10

बड़ा दुश्वार होता ह

bada dushwar hota ha
pyar karna, or fir bhool pana
bada dushWAR HOTA HA
PYAR KI AGAN KO BUJHANA
BADA DUSHWAR HOTA HA
HAS HAS KE JAKHM CHUPANA
BADA DUSHWAR HOTA HA

दर्द के समंदर मे

DARD KE SAMNDAR ME HAM GUTE LAGTE RAHE
UBHAR NA SAKE, KABHI SAHIL SE DOOR JATE RAHE
KITNI BAR DEKHA, SAHIL MERE PAS THA
PAR HAM KHUD HI BHAWAR ME REH KAR
KHUD KO AJMATE RAHE...

khwab meri jaaan ka dushman ban gaya

ahsas or khwab dono ek nahi ha
me janti hoo, ye bhi
magar tera khwab to mera ahsas ban gaya
har pal aisa lgta ha, jaise tere sparsh se man sihar gaya
teri sanso ki garmi mere tan me kho gayi
meri jagti akno me bhi ye khwab bas gaya
kyu pyar hua, hame ab tak us din ko roa karte ha
ab ye khwab meri jaaan ka dushman ban gaya

Saturday, June 9

एक शहर

ek shahar jiski kalpana hi ha ho sakti
hamne bhi aisi duniya ek basayi thi
magar andhi ayi, or use le udi
meri hasrato me a khudya kya kami payi thi
me to j jaan se juti thi use pyar karne me
usse mere pyar ko apna kehne ki khata na ho payi thi
me aaj jo bikhri hoo, apne sapno ke ujarne par
tut gaya, dhah gaya mere sapno ka naagar

ए रात क्यों/


raat tu kali andhiyari kyu ha
kyu tuzme me apna aks nahi dekh pati
ek jara si roshni hoti agar tuzme
to me bhi apne ap ko pehchan pati
tune apne andhiyare me samet li sari meri khushiya
agar bhor ka tu thora sa dars dikati to
tu usha kehlati, or fir me bhi gungunati
a raat , tu itni bhayanak kyu ha
kyu meri siskiyan tuzme or balwati ha ho jati
raat tu kali andhiyari kyu ha?

ए रात

me udas rehti hoo, me rat ko kehti ho
tu meri sakhi ha, tu meri apni ha
har bar sawera aya, jate hue muzko rulaya
ab rat se se kehti hoo tu hi meri apni ha
mene kayi bandhan bandhe din ke ujiyare me
par rat ke kale saye me kho se gaye
ab me nahi jagongi, me nahi rongi
ab rat ke saye me har dukh apna sanjongi
intajar din ka karna bekar ha
aaj ye kehti hoo kyuki mera pyar gunehgar ha
mene gunha kia ha, kyu pyar tuze kia ha
us gunha ki saja,me har roj bugtat_ti hoo
isliye rat se kehti hoo, tu meri sakhi ha
pain is endless, like a man in desert
a love lorn lover, and a bleeding heart
old painful wound, injured brat

नादाँ दिल

nadan dil kyu tera kehna man bethe
nadan dil kyu tuze apna man bethe
to hi to apna hua karta tha
unko dekh kar tume bhi une
pratidaan kar bethe
a nadan dil, kyu tera kehna man bethe
chirag jal rahe ha, par unke niche andhera
kyu apni chata bikherta ha
batata ha hame ye, ki har rat ke bad sawera ha

ए रात

raat tu kali andhiyari kyu ha
kyu tuzme me apna aks nahi dekh pati
ek jara si roshni hoti agar tuzme
to me bhi apne ap ko pehchan pati
tune apne andhiyare me samet li sari meri khushiya
agar bhor ka tu thora sa dars dikati to
tu usha kehlati, or fir me bhi gungunati
a raat , tu itni bhayanak kyu ha
kyu meri siskiyan tuzme or balwati ha ho jati
raat tu kali andhiyari kyu ha?

Thursday, June 7

वो ladki

wo ladki kanto ko apna samjti ha
kante uska naseeb ha
usko pata ha kya ha dunia
kante hi sathi ha uske
dost to pal bhar hi sath rehte ha
kante ha jo har wakt sath rehte ha
phol chunne ko jab bhi chalti ha
hath kanto ki ladi lagti ha
isliye kante chunna chor dia usne
rah e intajar par chalna chor dia usne

Wednesday, June 6

chand

chand ruk kar jara meri bat to sun le
keh di tune apni , meri bhi bat to sun le
me har andheri rat me tera hi intajar karti rahi
magar ek bar bhi, tune apni madham roshni me
meri gili ankho ko nihara nahi, chand ruk kar
ab ye dastan bhi sun le, is dil me jo jakhm ha
unka nishan bhi dekh le, or kehne de aaj muze
ek bar bas ek bar chup chap too sun le

ए chand

chand na tum aya karo, muzko sataya na karo
tumne satya ha bahut, muzko rulaya ha bahut
ab khwabo me aya na karo, chand na tum aya karo
tume kai gile shikve ha muze,par ye tumse nahi ha ye kismat ke
ham to har pal roye ha a chand teri chaht me
tum door ho ye bar bar jatlaya na karo
chand na tum aya karo, muzko sataya na karo

Sunday, June 3

rakh mohabbat

rakh mohabbat ki le kar
agar mitti me dalo to
banjar mitti bhi mehak uthegi
magar
ek khayal me hi mohbat ko badal dalo to
khud mohbat bhi banjar ho uthegi
isliye samjo to bat badi ha
na samjo to bemani ha
rakh ko fir se jala lo to
dilo me soyi mohbaat fir se sulag uthegi

kuch na raha

me ateet ki ajab halchal se vichlit na hui
me jiwan sangram me bhi na hari
magar tumare ek inkar ne muze
aisa dukhad anubhav dia
advitiye sa ajab anubahv tha
me sambhal na saki or khashat vikshat hui
wo mere attet ki smritiya
tumari alochnaye bhi meri sathi hui thi kabhi
me tere diwaswapno me khoyi rahi
or ek anubhuti virah ki hoti rahi
par khasn bhar me tumne apni har
alochna or prem se vanchit kar dia
ek khshan bhi agar sochte ki kyu hua
ye sab kya hua, to jaan pate
tumara prem hi hamra smbhal tha
or ab wo hi chin gaya, isliye kuch na raha
OR FIRmeri lekhni tut gayii....
wo sath tha mere hatho me uska hath tha
magar ek din achanak dil tut gAYA
OR MERI LEKHNI TUT GAYI

USI KO LIKHA KARTI THI
USI KA SAJDA KARTI THI
USI KE PYAR ME KHOYI SI THI
EK DIN ACHANK WO DDOR GAYA
OR MERI LEKHNI TUT GAYI

USHA KE DHUNDALKE ME
SHAM KI LALIMA ME
USKE NA HOTE HUE BHI
ME USKA CHEHRA DEKHA KARTI THI
PAR EK DIN AHSAS HI NA RAHA
OR MERI LEKHNTI TUT GAYI